Thursday, January 10, 2013

Kavita ke baare mein

Thoda kam bolo.
Itna sara kehne mein,
bhool na jana baat ko
Chaho to ek kavita likh do,
ek choti si kavita
Lekin kavita ko 
kavita ki tarah mat likhna,
na baat ko baat ki tarah kehna
Ek laya ho 
par zaroori nahi
ki koi geet hi ho
Thos ho par 
usme samjhaish ki ubasi na ho
Keval tumhari baat karna
kavita ki nahi
Kavita ko kehna
kavita ke baare mein nahin
Jadon ka phailaw 
ho sakta hai
par mitti ko 
bandhe bhi rakhna hai
Kavita mein kho jana 
bahut aasan hai
kavita sabse mahan hai
Tumhari baat ek teer ki tarah 
lagni chahiye
Kavita to keval uski kamaan hai.

No comments: