Wo kaunsa tukda hai sadak ka jahan tum
utar aoge
Wo kaunsa kissa hai kahani ka jise
tum sunaoge
Ungli kaunsi uthaoge
Bewajah ko
wajah kab kab banaoge
Moond ke aankein
saanson ko laya par kis tarah bithaoge
chalte chalte sapnon mein chale aoge
fir neend mein badbadaoge
Leher mein kile sa dhah jaoge
aur samandar ko apna kinara banaoge
Duniya maidan jitni lagti ho
aur kadam lambe uthaoge
Fitoor kuch nazar ayega paas
kisse kam pad jayenge
baat banti dikhegi
bigadte log ikattha ho jayenge
Fitoor fir nazar ayega paas
Kahin se kahin
aur yahan se wahan hokar bhi
sabse hokar guzar jaoge
Sara sangeet fir
ek dhun mein hoga
Fitoor koi ab tum mein hoga
Dhun par savaar tum fitoori ho jaoge.
utar aoge
Wo kaunsa kissa hai kahani ka jise
tum sunaoge
Ungli kaunsi uthaoge
Bewajah ko
wajah kab kab banaoge
Moond ke aankein
saanson ko laya par kis tarah bithaoge
chalte chalte sapnon mein chale aoge
fir neend mein badbadaoge
Leher mein kile sa dhah jaoge
aur samandar ko apna kinara banaoge
Duniya maidan jitni lagti ho
aur kadam lambe uthaoge
Fitoor kuch nazar ayega paas
kisse kam pad jayenge
baat banti dikhegi
bigadte log ikattha ho jayenge
Fitoor fir nazar ayega paas
Kahin se kahin
aur yahan se wahan hokar bhi
sabse hokar guzar jaoge
Sara sangeet fir
ek dhun mein hoga
Fitoor koi ab tum mein hoga
Dhun par savaar tum fitoori ho jaoge.
No comments:
Post a Comment