Wednesday, November 13, 2013

Internet ka Sundar Kaand

Phone ke tukde par 
Wifi ki batti lagakar
jalaya hai signal
Bhar diya hai charge se 
phone ko upar tak
Internet ka sundar kaand 
shuru kiya hai

Youtube ki agarbatti
side mein jal rahi hai
naye ganon ki scent se
poora kamra mehka rahi hai
Pandit ji ek-ek kar
naye mantron wala Tab
kholte gaye
instant hi kuch gram photos
humne fb ko 
bhog mein chadha di
Logon ne dheere-dheere
apni online chatai bichai
humne group chat ki 
pangat bithai
Kabhi-kabhi pandit ji
anti-virus scan alert ki 
ghanti bajate
Fb ki scroll down wali jhapkiyon se
wo logon logon ko jagate
Sabhi ka dhyan 
laga rehta paath mein.


Wikipedia ka path 
sabse mazedar tha
Dohe ke andar ek aur doha 
chupa rehta
Tabs ki shrankhala
badhti chali gayi
dhyan-magna hum 
is sundar kaand mein
utarte chale gaye.

Gyan ka dhuan jab
badh gaya kamre mein
to kisisne uthkar 
ek khidki khol di.
Kuch ka dhyaan 
aur batne laga
Nayi khidki par wo duniya ka 
Collosal gyan samjhne lage
Kuch oobh gaye
kuch sust padne lage
ungaliyon koangdaiyaan dilai
kuch itne jhuk gaye
collosal khidkiyon mein
chanchalta mein ganwa baithe
sara sundar kaand
Lekin kuch aise bhi the
jinka ab lagne laga tha dhyan
aisa ki aankhein band karke
FB se hi offline chale gaye.

Sandar Kaand ki 
yahi sundar baath hai
ki humein lagta hai
offline ho jane se 
koi humein dekh nahin sakta
jab hum chhupke apke 
kaand kar sakein
beech-beech mein aankhein kholkar.

No comments: