Thursday, August 1, 2013

Jeevan pahad jitna hota hai
keval ek pahad
Choti tak pahunchna hota hai

Chadhte-chadhte talve thak jate hain
Badhte-badhte bhatak jate hain
Dholak ke bhajan-keertan yaad ate hain
Hey bhagwaan kehte-kehte hum chti tak ate hain
Pahad par mann ke gehre sannate hain
yahan jheengur bulate hain

Pahadon ka jeevan hota hai
keval ek jeevan
Pahadon mein rehne wale
nadi se milne ate hain
Ghaat par base log
pahad par teerth banate hain
Ghaat par mandiron mein 
Pahade padhe jate hain

Bas choti tak jana hota hai
aur neeche utar ana hota hai
E jeevan pahad jitna hota hai
Pahadon mein jeevan ka 
yatharth hota hai.

No comments: