Thursday, July 26, 2012

Chalo kiya

Tumse  milna tha
chalo mil liya
Tumhara chehra yaad kar liya
dekh kar tumhe ek naam padh liya
Tum sawaal poochne lagi aur main sawaal karne laga

Tumse baat karni thi
chalo kari.
Tumhari awaz ko sun liya
fir kuch mashwarah kiya
Hum chup rahe.

Tumse milkar sawaal nahi karne the,
Baatein karke chup nahi hona tha,
Saath pane ke liye kuch to karna tha...

Chalo kiya.

Patharaya huya jeevan hai, 
aur main pani jo behkar 
upar se nikal jana chahta hoon,
fislan to har chattan ki hai, 
aur main hawa jo chookar 
sarsaraana chahta hoon.
daal to har ped ki haath badhaati hai.
todkar unhein mitti par 
ek akar banata hoon.
meri parchanyi ko 
akar dena chahta hoon.

Tuesday, July 3, 2012


Bombay mein baarish ho rahi hai
andhera ho raha hai
Mann ko bhiga lene ki farmaish ho rahi hai
gadiyon ka dhuaan andar baitha siskiyaan le raha hai
Saal ab thande pani ki chuskiyaan le raha hai
Logon ko aaj bhi kaam par chal dene se,
rokna mushkil ho raha hai
Chakka bhi baraste pani mein dhul jane ka
maza le raha hai
Monsoon, virar fast sa khacha-khach bhara mumbai aya hai
Bas ab boondein phoot padengi bahar
Shaam se pehle koi ghar nahi jane wala
abhi to office jane ka samay ho raha hai...